Yeh daulat bhi lelo, yeh shoharat bhi lelo
Bhale cheen lo, mujhse meri jawani
Magar mujhko lautado bachpan ka saawan
Woh kagaz ki kashti, woh baarish ka paani
Muhalle ki sabse, nishaani poorani
Woh budhiya jise, bachhe kehte the nani
Woh nani ki baton mein pariyon ka dehra
Woh chehre ki jhuriyon mein sadiyon ka tera
Bhulaye nahi, bhul sakta hain koi
Woh choti si raatein, woh lambi kahani
Woh kagaz ki kashti, woh baarish ka paani
Woh kagaz ki kashti, woh baarish ka paani
Kadi dhoop mein, apne ghar se nikalna
Woh chidiya, woh bulbul, woh titli pakadna
Woh budhiya ki shaadi pey ladna jaghadna
Woh jhulo se girna, woh girke sambhalna
Woh pital ke chaliyon ke pyaare se tohfay
Woh tooti hui, choodiyon ki nishaani
Woh kagaz ki kashti, woh baarish ka paani
Woh kagaz ki kashti, woh baarish ka paani
Kabhi ret ke, oonche keelon pe jaanaa
Gharonde banana, banake mitaana
Woh maasoom chahat ki tasveer apni
Woh khwabon, khilono ki jaagir apni
Naa duniya kaa gum tha, naa rishton ke bandhan
Badi khoobsurat, thi woh zindagaani
Yeh daulat bhi lelo, yeh shoharat bhi lelo
Bhale cheen lo, mujhse meri jawani
Magar mujhko lautado bachpan ka sawan
Woh kagaz ki kashti, woh baarish ka paani
Woh kagaz ki kashti, woh baarish ka paani
Thursday, January 10, 2008
Subscribe to:
Comments (Atom)
