Sunday, November 22, 2009

Tumko Dekha

Tumko dekhaa to ye kayaal aayaa
zindagii dhuup tum ghanaa saayaa

aaj phir dilane ek tamannaa kii
aaj phir dilako hamane samajhaayaa
zindagii dhuup tum ghanaa saayaa...

tum chale jaaoge to soche nge
hamane kyaa khoyaa- hamane kyaa paayaa
zindagii dhuup tum ghanaa saayaa...

ham jise gunagunaa nahii n sakate
vaqt ne aisaa giit kyuu n gaayaa
zindagii dhuup tum ghanaa saayaa...

Sawan Beeto Jaaye Piharwa (Khamaaz)

Sawan beeto jaye piharwa
Sawan beeto jaye piharwa

Man mera ghabraye
Man mera ghabraye

Aiso gaye pardes piya tum
Aiso gaye pardes piya tum

Chein humein nahi ayi
Chein humein nahi ayi

Mora sayiyaan mose bole na
More sayiyaan mose bole na

Mein laakh jatan kar haari
Mein laakh jatan kar haar rahi
Mora sayiyan mose bole na

Tu jo nahi to aise piya hum
Tu jo nahi to aise piya hum
Jaise soona aangana
Jaise soona aangana
Nein tihari raah niharein
Nein tihari raah niharein
Nainan ko tarsao na
Nainan ko tarsao na
Mora sayiyan mose bole na

Pyaar tumhe kitna karte hein
Pyaar tumhe kitna karte hein
Tum ye samajh nahi paoge
Tum ye samajh nahi paoge
Jab hum na honge to piharwa
Bolo kya tab aoge
Bolo kya tab aoge
More sayiyan mose bole na

Thursday, January 10, 2008

Kagaz ki kashti

Yeh daulat bhi lelo, yeh shoharat bhi lelo
Bhale cheen lo, mujhse meri jawani
Magar mujhko lautado bachpan ka saawan
Woh kagaz ki kashti, woh baarish ka paani
Muhalle ki sabse, nishaani poorani
Woh budhiya jise, bachhe kehte the nani
Woh nani ki baton mein pariyon ka dehra
Woh chehre ki jhuriyon mein sadiyon ka tera
Bhulaye nahi, bhul sakta hain koi
Woh choti si raatein, woh lambi kahani
Woh kagaz ki kashti, woh baarish ka paani
Woh kagaz ki kashti, woh baarish ka paani

Kadi dhoop mein, apne ghar se nikalna
Woh chidiya, woh bulbul, woh titli pakadna
Woh budhiya ki shaadi pey ladna jaghadna
Woh jhulo se girna, woh girke sambhalna
Woh pital ke chaliyon ke pyaare se tohfay
Woh tooti hui, choodiyon ki nishaani
Woh kagaz ki kashti, woh baarish ka paani
Woh kagaz ki kashti, woh baarish ka paani

Kabhi ret ke, oonche keelon pe jaanaa
Gharonde banana, banake mitaana
Woh maasoom chahat ki tasveer apni
Woh khwabon, khilono ki jaagir apni
Naa duniya kaa gum tha, naa rishton ke bandhan
Badi khoobsurat, thi woh zindagaani
Yeh daulat bhi lelo, yeh shoharat bhi lelo
Bhale cheen lo, mujhse meri jawani
Magar mujhko lautado bachpan ka sawan
Woh kagaz ki kashti, woh baarish ka paani
Woh kagaz ki kashti, woh baarish ka paani

Tuesday, December 25, 2007

Mitwa

mere mann ye bata de tu
kis or chala hai tu
kya paya nahi tune
kya dhundh raha hai tu
jo hai ankahee jo hai ansuni
woh baat kya hai bata
Mitwa kahein dharkanein tujhse kya
mitwa yeh khudse toh na tu chhupa

mere mann ye bata de tu
kis or chala hai tu
kya paya nahi tune
kya dhundh raha hai tu
jo hai ankahee jo hai ansuni
woh baat kya hai bata
Mitwa kahein dharkanein tujhse kya
mitwa yeh khudse toh na tu chhupa

jeevan dagar mein prem nagar mein - 2
aaya nazar mein jab se koi hain
tu sochta hain tu puchata hain
jiski kami thi kya yeh wohi hain
haa yeh wohi hain - 2
tu ek pyasa aur yeh nadi hain
kaahe nahi isko tu khulke bataye
jo hai ankahee jo hai ansuni
woh baat kya hai bata
Mitwa kahein dharkanein tujhse kya
mitwa yeh khudse toh na tu chhupa

teri nigaahen, paa gayi rahein
par tu yeh soche jaaun na jaaun
yeh zindagi jo hai naachti toh
kyon bediyon mein hai tere paanv
preet ki dhun par naach le paagal
udta agar hai udne de aanchal
kaahe koi apne ko aaise tarsaaye
jo hai ankahee jo hai ansuni
woh baat kya hai bata
Mitwa kahein dharkanein tujhse kya
mitwa yeh khudse toh na tu chhupa
mere mann ye bata de tu
kis or chala hai tu
kya paya nahi tune
kya dhundh raha hai tu
mitwa...